Monday, May 31, 2010



Get more? www.chirkutonorkut.com

Sunday, May 23, 2010

jo khwahishe thi unhe bhul jana pada
majile ko khud hamare pas ana pada
tumko hone nahi denge kisi aur ke
tumhe mud ke mere pass ana pada


tere chahhat ka dam todne nahi denge
tu na de sath hum dil todne nahi denge
chahega tu jis din hume bhul jane ko
kasam hai upar wale ki hum ye rishta todne nahi denge


waqt ki bisat pe ye mohre bich gaye
pata nahi kab aur kaise do bichde mil gaye
tufan bhi nahi tod sakte jis riste ko
us risste me dono bandhte chale gaye

sky

23-05-10

Monday, May 10, 2010

kyu chalte chalte log sath chod jate hai

kyu chalte chalte log sath chod jate hai
na jane kyo apna muh mod jate hai

rukhsar kar dete hai chahne wale ko apni jindagi se
na jane kaise log itne pathar dil ho jate hai

koi mujhse puch to mai bata du
is dil ki diwaro me basa naam tera hai

tu ek baar has de to kasam se mai tere liye
ye sansar chod du, par ye to sirf ek sapna hai

hasta rahunga hamesha tere yaad me
gam ke ansu na kabhi bahne dunga

rokega chahe jamana mujhko par mai to tujhse pyarr karta rahunga......
mai to pyar karta rahunga.... karta rahunga


love sky
is dil ki dua tum tak pahoch jaye
gam

Sunday, May 9, 2010

dosti to dastoor hai naam hai jindagi ka ye
jo dost na ho to kuch bhi nahi bus kori kitab hai ye

jo dost ho to har gam door hai bus kahne ko ek naam hai
jo dost hai wo sath chodte nahi kahte hai tu mere jaan hai

dost hi dost ke kaam ata hai chahe khade ho tum kabristan me
par sale paise bahut kharcha karate hai kah ke ye tere bare mere jaan hai

par kuch bhi kaho dosti hoti bahot majboot hai tabhi to dete is pe log jaan hai


one of my funny shayari

saurabh

us raat ko yaad karta hun

us raat ko yaad karta hu jab tumse baate hoti thi
hum raat bhar jaga karte the tum sath hamare hoti thi

hum na jane kis kis ki bate karte the tum has ke jawab deti thi
jab gam me duba hota tha tum gudguda ke hasaya karti thi

na jane najar lag gayi kisi ki tum yu jo rukhasar hoti thi
gam ke badal aese chahye ki roshni bhi andhera karti thi

ab to yaad bhi kar ke darta hu ki tum god me mere roti thi .. roti thi......


love sky the devil

Saturday, May 8, 2010

taqdeer

waqt jo badla to takdeer badal gayi
tumse milne pe kismat hi palat gayi
hum to nikle to tufano se ladne ke liye
kya pata tha ek chingari hi jala degi
phoolo se sajaye mahal ko hawa hi uda degi

fir piroyenge mala ham un bikhre hue phoolo se
jod ke atit ke taar hum fir uth khade honnge
haan ummid to kam hai us khusbu ka laut panna
par haan himmat hi kaha hai is dil me jo mahak hi sake
unke yaad me...



love saurabh................

jo gujar gaya use kya dekhu

jo gujar gaya use kya dekhu
bhige hue palko ko kya pochu
tum pass nahi to waqt bhi ruk chuka hai
us chalte hue pani ko mai kya roku

aaj gujra hua wo waqt yaad ata hai
us gujre hue waqt ko mai kya dekhu
takdir me jo tha wo mila nahi
ab us upar wale ko mai kya bolu

tum ho na ho is najro ke samne
tumhari najro ke jharokho me mai kya dekhu
bus ek hi khawahish hai is sene me
us khwahish ko tutte mai kaise dekhu




love saurabh:------------

Friday, May 7, 2010

ek ummid ki kiran

ek ummid ki kiran hai jo dil ko jalati hai
dil ko dastak de ke kyo chali jati hai
hum to musafir hai aese safar ke jo kabhi khatm hi nahi ho pati hai
wo raat bhi yaad hai wo baat bhi yaad hai
bus baate he rah gaye hai aur jasbaat bhi yaad hai.
hum akele hai to kya ummid to jagi hai
tum pass nahi to kya tere yaad to saath hi hai

Wednesday, May 5, 2010

tum do na do sath mera hume to jina hoga.
gam bhare ansu akele hi pena hoga,
ye fasle to kam nahi ho sakte itne jaldi,
par haan dil se dil ki duriyo ko jarur kam hona hoga.
fir wo waqt milega jab hum pass honge,
par fark bahot lamba hoga,
tum hoge sath kisi aur ke aur majbooran hame bhi sath kisi aur ke hona padega,



manjile bhi uski thi rasta bhi uska tha ek mein akela tha kafila bhi uska tha saath saath chalne ki soch bhi uski thi fir rasta badalne ka faishla bhi uska tha aaj kyo akela hu dil sawal karta he log to uske the kya khuda bhi uska tha



saurabh:::::::


5 May 2010

Sunday, May 2, 2010

Aaj akele hone ka apna hi maja hai
na jane unke na hone par aaj kyo acha lag raha hai
wo soche na soche hamare bare me hum to unke bare me sochenge
unke na ho hamari chinta ham to unhe yaad kiya hi karenge
wo ho jo gussa to kya fark padta hai jab sare rishte hi badal gaye to
fark kya padta hai akele hai hum aur akele hi jine ki adat daal lenge ho kisi me
dum to hume ajma le
nahi chahte wo gujra waqt wapis aye par sochte jarur hai ki wo waqt kitna acha tha


lost in this world alone